*zindagi jeene ke hajaar tarike he mgr une hajaar tariko me koi ak asa tarika he jis se hame kushi milti ho jo hamaari ruh me ak khusi ka ahsaas bhar de jo hame khusi de sake yaa fir hum zindagi ki bhaag dod me ase kho gaye he ki hamaare liye hamaari koi khusi maayne hi nahi rakhti,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*logo ko dekhne ke liye ak khokali zindagi jee rahe he hum jis se hamaara koi lena dena hi nahi he fir bhi aaj hum asi hi zindagi jee rahe he kisi ko khusi de kar hi hum bhi khus rahe sakte he kisi ki berang zindagi me rang bhar kar hi hum apni zindagi ko bhi rango se bhar sakte he ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*aaj tak mene in sab baato pr kabhi bhrosa hi nahi kiya tha kisi ki zindagi me kya sab chal raha he mujhe usse koi frak nahi padta tha,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*meri zindagi me kya kuch chal raha he mujhe usse mtlb tha koi mujse khus he yaa nahi me kisi ko pasnd hu yaa nahi koi frak nahi padta tha Kyu ki zindagi meri he or mujhe apne hisaab se apni zindagi ko jeena tha,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*mgr meri zindagi ne ak asa pltaa khya ki meri zindagi me sab kuch badal gaya kahte he naa zindag me koi bhi insaan hamesha ak jasa nahi rahta zindagi me kuch baate asi hoti he jo insaan ko badalne pr majbur kar deti he,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*mere saath bhi kuch asa hi hua ak ase insaan se zindagi ne milaya jise khusi kya hoti he pta hi nahi tha zindagi ne gam hi itne deye the usko jab se usse mili thi aaj tak uske hoto pr koi khusi nahi dekhi thi hamesha udaas or rote hue he usko paya tha,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*zindagi kya he jase wo bhul hi gaya tha mujse uska ye haal dekha hi nahi jaata tha usko ase dekh kar dil bahut rota tha apni zindagi ka ab ak hi maksad tha usko kisi bhi haal me khus karna tha uski zindagi me khusya bharni thi uske liye kuch bhi karna tha bus wo khus rah sake or me is maksad me kaamyaab bhi ho gayi thi ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

*wo pal aa hi gaya jab uske maasum chahre pr mene ak chamkili muskaan dekhi asa laga jase ak pal ke liye zindagi ruk gayi ho bus use wakt me usme hi kahi kho gayi us time ahsaas hua ke kisi insaan ki zindagi me agr hamaari wajhe se rag bhar jaata he use Wakt jo ak khusi ander hoti he naa wo dunya ki sabse badi khusi hoti he jo zindagi me ak naya mod le aati he ab mujhe apni zindagi me ase hi mod dekhne he jis se dusre log meri wajhe se khus rahe sake,,,,,,,,,,,,,,,,,,,